दोस्तों आज हम इस पोस्ट में आपको ip webcam को कैसे यूज़ करना है इसके बारे में बताएंगे। ip webcam एक ऐसा एंड्राइड आप्लिकेशन है जिसकी मदद से हर कोई अपने स्मार्ट फ़ोन को सीसीटीव कैमरा बना सकता है। तो आगे हम जानते हैं कि कैसे ip webcam को यूज़ करें।
How to use ip webcam ( ip webcam का यूज़ कैसे करें)
Step 1 - Sbse phle aap Play Store se “IP WebCam” Download kar lijiye. Aur isko apne Phone me install kar lijye.
Step#2. Aap Jaise hi IP webcam App ko open karenge aapko “ Plugins” tab dikhayi dega. Usme aapko 3 Pluginsmilenge. Aap sabhi plugins ko install kar lijiye.
जानिए plugin क्या होती हैं।
Step#3. Uske baad aap “IP Webcam Settings” me Video quality, Audio Quality apne according Change kar sakte hain.
Aap chahe toh Motion Detection ko on kar sakte hain. Aisa karne se aapki Memory Storage bachegi.
Step#4.
Ab aate hain“Connection Settings” Me. Jisme aapko 2 Option Milte hain.- Local Braodcasting
- Cloud Streaming
Local broadcasting ke liye aapka Computer aur Phone Dono ko hi ek hi Network se connected rkhna hoga.
Cloud Streaming me aap jaha chahe waha se Apne Phone ke camera ko access kar sakte hain. Iske liye aapko Cloud Streaming ko Active karna padega. Jisme aapko ek account sign up karna padega.
Step#5.
Ab sbse last me “Service Control” me Start Server Par click kijiye.
Step#6. Aap jaise hi Start Server par click karte hain aapka Camera Open ho jayega. Aur aapko niche ki side me ekIP address dikhegi.
Step#7. Ab aap uss IP Addressko apne Computer ke Browser me daal kar Enter kar dijiye. Jaise hi enter karenge aapko kuch aisa interface dikhayi dega.
Step#9. Jaise hi aap click karenge Aapke saamne aapke Phone ka Camera open ho jayega. Ab aap isko chahe tohRecord kar sakte hain ya Livedekh sakte hain.
Toh dosto aap bade hi aasani se apne Phone ko CCTV camera me Convert kar sakte hain. Aur usko apne computer ke Browser se kahi bhi open karke dekh sakte hain. Iske liye aapko CCTV installation me kharch bhi nahi karna padega.
Sir jis mobile me ye app install h usme internet connection hona zaroori h..
जवाब देंहटाएं